Adsense

Wednesday, 4 April 2012

Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.



On Sun, Apr 1, 2012 at 9:19 AM, RAJA SABA <mc100402861@vu.edu.pk> wrote:
Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag  SABA sey bichar gaye. 
Jo mohabbaton ki asaas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.  
Jinhain manta hi nahien ye dil, wohi loag merey hain hamsafar;
Mujhey har terha sey jo raas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.  

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton ke saraab bohat satayein gey;
Meri umr bher ki jo pyaas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.

Ye jaal sarey hain aarzi, ye gulaab sarey hain kaghzi;
Gul-e-arzo ki jo baas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye. 

Jinhain ker saka na kubool main, wohi shareek-e-rah safer huey;
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.

Meri dharkanon ke kareeb thay, meri chah thay mera khuaab thay;
Wo jo roz-o-shab meray pass thay, wohi loag SABA sey bichar gaye.



--
 
 RAJA SABA
PRAY FOR MY SIN AS I M UNABLE TO PRESENT IT.
 
Mere Gosha-e-Fikar main meri Zindagi k Qareeb tar
 
Mera Aisa b ek Dost hy "SABA" Jo mila na kabi Juda huwa


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.